Hi friends,
Here sharing with you all a poem written by me on Mother, actually there is no words to define the unconditional love of her but just tried to express my feelings through words. I hope you will like it and relate your self with it.
.
Ek khubsurat sa, mitha sa ehsaas hai,
Jo mere har Khushi aur hassi ki wajah hai meri maa,
Jo mere har Khushi aur hassi ki wajah hai meri maa,
Jab b Galti Karti to,papa k dant se bachati hai,
Chahe kitne bhi ghum ho phir bhi muskurati hai meri maa,
Chahe kitne bhi ghum ho phir bhi muskurati hai meri maa,
Jab b me Bina khaye Raat me so Jaya Karti to,
Raat me uthake Apne hatho se khilati meri Maa,
Raat me uthake Apne hatho se khilati meri Maa,
Meri har khawaish k liye paise paise jhodti ti,
Aur bin kahe Sare khawaish Puri Karti ti meri maa,
Aur bin kahe Sare khawaish Puri Karti ti meri maa,
Meri Maa bhagwan Ka wo tofha hai jo Anmol hai,
Godh me sar rakh k sari pareshani dur Kar deti meri maa ,
Godh me sar rakh k sari pareshani dur Kar deti meri maa ,
Na Jane kahan se itni sukun de Jati hai,
jis se me ladti , jhagadti par akhir me sari baat keh deti meri maa,
jis se me ladti , jhagadti par akhir me sari baat keh deti meri maa,
Ma Nahi dost hai meri wo,
jitni bhi koshish Kar Lun unse apna dard chupane ki ,
Na Jane sub Jan leti hai meri maa...
jitni bhi koshish Kar Lun unse apna dard chupane ki ,
Na Jane sub Jan leti hai meri maa...
Unka wo sar pe haath rakhna aur gale lagana,
Mujhe har taklif se dur Kar deti hai meri maa,
Mujhe har taklif se dur Kar deti hai meri maa,
Chakh liye hai swad har jagah k khane Ka,
Par tere hatho Ka swad Nahi kahin meri maa,
Par tere hatho Ka swad Nahi kahin meri maa,
Kya likhu kya na likhu,
mujhe wo shabad Nahi aata Jo ma k pyaar ko bata sakun,
mujhe wo shabad Nahi aata Jo ma k pyaar ko bata sakun,
Aaj jab me unse itne dur hun,
Har Pal teri yaad tadpati meri Maa,
Aaj bahu hun kis k Ghar ki,
Kehne k liye Maa yahan bhi hai,
Phir b na Jane kyun Dil me basi hai meri maa,
Kehne k liye Maa yahan bhi hai,
Phir b na Jane kyun Dil me basi hai meri maa,
Har koshish Kar li unhe Khush rakhne ki,
Par na Jane kahan Kami reh Jati ti,
Har Subha yahi sochti ki aj shayad Khush hongi wo,
Par wo din kabhi Na aaya meri maa,
Par na Jane kahan Kami reh Jati ti,
Har Subha yahi sochti ki aj shayad Khush hongi wo,
Par wo din kabhi Na aaya meri maa,
Thak gai hun mukhote ki Zindagi jite jite,
Kash kuch Aisa hota ap mere pass Hoti ,
Dil k ansu ko rok pati meri maa,
Kash kuch Aisa hota ap mere pass Hoti ,
Dil k ansu ko rok pati meri maa,
Bohat udas hun Zindagi se Apne,
Taras rahin hun tere Aanchal ki chaun k liye meri maa,
Taras rahin hun tere Aanchal ki chaun k liye meri maa,
Itni si guzarish hai meri ,
Khatam ho sake sukun ki talash ab ye,
Bus ek bar gale laga k gudh me sula le meri ma...
Khatam ho sake sukun ki talash ab ye,
Bus ek bar gale laga k gudh me sula le meri ma...
Bus itna janti hun ki koi Nahi duja tere jaisa Meri Maa,
Me tujhse hu aur teri parchai meri Maa.
Bohat pyaar hai tujhse Meri Maa.
Me tujhse hu aur teri parchai meri Maa.
Bohat pyaar hai tujhse Meri Maa.
Miss you Meri Maa
Pinky_prz
Pinky_prz
Waaah
ReplyDelete