Monday, 8 December 2014

Beti- A sad true hindi poem on fetal Abortion


Chahe mujhe na pyaar do ,
Chahe mujhe na dular do,
Kar pao tho itna karna,
Mujhe janam se pehle maar  na dena,

Me jannani hun,
Me laxmi hun kisi k aagan ki ,
Me sapna hun kisi  k kalayi ki,
Me saahara hun kisi k zindagi ki,
Me beti hun tere  ghar ki,
Mujhe bhi de do zine ka aadhar,
Maa janam se pehle mat maar.

Mera dosh batao mujhko,
Yun na bebaat satao mujhko,
Me bhi tho ansh hun tumhara,
yun na  alag karo apne se mujhko
Jine ka haq de do mujhko,
Dekhlu sansaar ek baar,
Maa janam se pehle mat maar.

Todi nazar badal kar dekho,
Sung zamane ke chal kar dekho,
Me bhi uncha naam karungi,
Beti se bhi pehchan  banegi,
Chawthpan me sahara banungi,
Me jab aangan me chalungi,
Mishri si boli bolungi,
Seva ,karuna ,taiyag  karungi, 
Dono kulo ki shaan k khatir tan mann dungi waar,
Maa janam se pehle maat maar...

No comments:

Post a Comment